Monday, October 9, 2017

DARD

Ek din, kaafi aur dino ki tarah, wo baithi thi apne ghar se bahut door, ek ghar ke us kone ki seedhiyon par, wahan jahan se pahaad aur sooraj ka sabse khoobsuarat nazara dikhayi padta tha. Aur us or dekhte hue kuch khoyi khoyi si lag rhi thi wo.

Apne maathe pe aayi shikan ko apni lehraati zulfon se chupana chah rhi thi shayad wo. Phir un zulfon ki kuch latton ko apni ungli aur angoothe ke sahare ghuma rhi thi, kuch waise hi jaise bachpan mei kabhi apni maa ko ro ro kar apne ird-gird nachaaya hoga usne. Lagta hai, ghoomne ghumaane ka kaafi shaukh rakha karti hogi wo.

Par tumse ek darkhwaasat hai. Use yun dekh kar us-se kabhi pooch na lena ki uske maathe pe wo shikan kisne banayi, aur ye ki wo use chupa kyu rahi thi. Use kabhi apni zulfon se khelne se tok na dena. Uske pahaadon se baatein karne par hans mat dena aur use uske ghar ki yaad na dila dena. Kabhi us-se tum uski bachpan ki kahaaniyan sunaane ko na keh dena.

Kyonki, jab tumhe ye saari baatein suna kar wo thak gayi hogi, aur ab tumahri kahaniyaan sun-na chahti hogi, aur tumhare paas use sunaane ko kuch hoga nhi, kyunki zindagi ko uski tarah paakheejgi se tumne kabhi nihara nhi hoga, aur tumhe wo boriyat bhi lagne lagi hogi, tab, tum kuch bahana bana kar apne ghar laut jaaoge aur phir use bhool jaaoge.

Par pata hai, wo tab bhi kisi roz, kisi aur khoobsurat nazaare ke paas baithi, tumhari hasi ko yaad karte hue, kuch isi tarah, khoyi khoyi si muskura rhi hogi.

Darasal tab, use dard bahut hota hoga.

No comments:

Post a Comment