Tuesday, October 17, 2017

Kuch Kehna Tha Tumse

Mujhe yaad hai wo din. Wo din tumne aur maine saath bitaya tha. Matlab, wo din thoda alag tha aur uss din hum bahut hase the. Ussi din shaam hote-hote hum chaaron roye bhi bahut the. Us din humne kitni saari tasveerein bhi lee thi. Yaad hai tumhe bhi?

Kya tumhe yaad hai ki tumne aur meine uss din kya kya harkatein kee thin? Ruko, mei batati hun.

Un dono ki farewell presentation chal rhi thi aur tum aur mei kaafi bore ho rhe the. Kuch der tak uss corridor mein ghoomne ke baad hum uss chote se kamre mein, jahan hum sab aksar baitha karte the, wahan chale gaye. Par wahan jaane se kya humari bhookh mit jaati?
To phir humne uski scooty lee aur uss kone wale dhaabe par gaye, aur scooty ki speed jo thi wo to tumhe yaad hi hogi na? Aur uss din, kyonki sirf hum dono hi the, to humne chaap khaayi thi. Aur yaad hai wo uncle jo humari hi table pe humare saamne baithe the? Haye, kitna hase the hum! Aur sach kahun to mujhe nhi pata ki hum kyun has rahe the. Par aaj bhi jab wo din aankhon ke saamne aata hai to pata hi nhi chalta kab chehre pe ek muskaan aa jaati hai.

Jab khaa kar aaye to farewell ka informal part chal raha tha. Aur wo sab dekh kar mein bhi emotional ho gayi aur un seedhiyon ke saamne wale shade ke neeche baith ke mein rone lagi. Tum mujhe chup karaane ki bajaye mere phone mei pata nhi kitne saalon puraani kya kya cheezein dekh rahe the. Phir wo dono bhi aa gaye aur hum unke saath meri favourite waali seedhiyon par jaa kar baith gaye. Function khatam hua. Mei aur zyada rone lagi. Aur mujhe dekh wo bhi royi thi. Phir hum canteen ke paas gaye. Kuch khaya. Bahut si tasveerein lee, aur bas phir mein ghar chali gayi.

Wo saari tasveerein to hongi na tumhare paas? Kabhi kabhi to dekhte hoge tum unhe? Hum sab ki yaad bhi aati hogi na? Humari baatein bhi karte hoge shayad tum apne naye doston ke saath. Un jagahon par bhi gaye hoge na jahan humne ladaaiyaan ki thi, jahan hum khoob hase the aur jahan humne kitna saara waqt saath bitaya tha?

Waise ek baat kehni thi tumse. Tum koshish karoge na, to wo maan jaayenge. Sab pehle jaisa shayad na ho, par wo apni kadwaahat bhool jayenge. Tum please unse baat karna aur unhe mana lena taaki kuch saalon baad, wo jab bhi tumhara naam sunein, to wo muskura sake. Aur jab bhi tum unki koyi nayi tasveer kahin dekho, to tumhe kabhi koshish hi na karne ka afsos na ho.

1 comment:

  1. Boht achhe se yaad h woh din. ❤ Boht achhe se yaad h tumhare sath bitaya had din. Har Woh jagah jaha tumhare sath gyi thi, jaha tumhare sath hasi, gaane gaaye, royi, mazak se leke Zindagi ki chhoti badi har baat tumhare sath baanti. Kuch pehle Jesa Nahi hai, par ummeed Nahi chhodi. Pata hai samay lagega, par tumhare liye intezaaaar krna is going to be worth every second. Tum pyar ho. Aur thodi psychic bhi I guess. Because usi farewell pe Tumne kaha tha k you feel like this is the last day that we all are going to be together and happy. :') I was hoping and I desperately wanted you to be wrong. But the inevitable happened. We all are still dealing with it. That was the peak point of my life till now. When we all used to be together. Life seemed to be complete, but it all shattered, one by one. Anyway, koshish waha ki jaati hai jahaan you want things to work. People I care about know who they are, and sometimes you just need to give up because you know it's not going to be worth the effort. And i will have no regrets. I love you vahini. I don't know how I missed this post. May be coz you uploaded two of them on the same day. Anyway, no afsos. ❤

    ReplyDelete